Qanooni
Refund policy
Aakhri tabdeeli: 1 November 2026
Seedhi baat: aap tab hi payment karte hain jab plan chunein, aur hum kabhi khud se paise nahi kaat-te.
- 1
Muft trial
3 mahine ka trial muft hai aur card nahi maangta, is liye refund ka sawal hi nahi. Khatam hone par account read-only ho jata hai. Kuch delete nahi hota.
- 2
Plan cancel karna
Settings → Billing se kabhi bhi cancel karein. Jitne arse ki payment ki hai, plan utne arse tak chalta rahega. Shuru ho chuke arse ka hissa wapas nahi hota.
- 3
Do baar ya zyada paise kat gaye
Agar do baar payment ho gayi, ya plan ki qeemat se zyada de diye, to transaction ID ke saath message karein. Zyada raqam poori wapas, usi EasyPaisa, JazzCash ya bank account mein.
- 4
Plan badalna
Upgrade foran shuru hota hai. Downgrade us arse ke aakhir mein lagu hota hai jis ki payment ho chuki hai.
- 5
Kaise maangein
WhatsApp par apne phone number aur transaction ID ke saath message karein.
Is page ke baare mein sawal?
WhatsApp par message karein. Team khud jawab deti hai.